Jawab
Kuch jawaab mile lekin achhe nahi lage
subah hui nahi ki din ginn ne lage
raat mei zindagi samajhne lage
jab maan gaye hai toh jeena nahi hai
jee liya hai toh rakhna nahi hai
chinn gaya toh ghum nahi hai
Jo milaa uski zarurat nahi hai
sawaal ke jawab nahi hai
kaataoh ke phool nahi hai
haathi ke pankh nahi hai
khushiyon ka hisaab nahi hai
jawab ka sawaal nahi hai
sawaal nahi hai
kahani ka anth nahi hai
Jo dhunda uska matlab nahi hai
chidhyon ka gaana nahi hai
tootay kaanch ka kaam nahi hai
parindon ka naam nahi hai
zabardasti mei dil nahi hai
kala ki kimat nahi hai
yahan baarish ki sugandh nahi hai
yahan insaano ko kadar nahi hai
yahan raat mei sukoon nahi hai
Nahi hai
Yahan sukoon nahi hai
yahan pyaar ki jagah nahi hai
Nahi hai
yahan jagah nahi hai
yahan sawaal ke jawaab nahi hai
Nahi hai
yahan jawaab nahi hai