Kursi
Aaj lag raha hai
Kal nahi lagega
Jo bhi hai abhi hai
Aasmaan ko bhi badal ki kami hai
Zindagi ki kimat nahi hai
Machhar aur titli
Ek haseen aur ek ajeeb hai
Sabke marne se gham nahi hota
Sabki saason se dil nahi behalta
Kuch ghante guzarte hi nahi hai
Aur kuch din beet jaate hai aur fir bhi adhoore lagte hain
Logon se zada pyaar ho jaata hai
Aur khud se thoda kam
Raat mei jagah dikhti hai aur din mei log
Kuch cheezein mil jaati hain
Kuch kho jaati hai
Kuch mehsoos kara deti hain
Kuch thehra jaati hain
Yaadein mujhe ussi kursi mei baitha jaati hain
Meri chai mei fir makhi gir jaati hai aur meri subah ek baar fir barbaad ho jaati hai
Meri kursi mujhe kahi le jaati hai
Isliye baithna mushkil ho gaya hai
Rukna meri kamzori ban gaya hai
Yaadon se darr lag gaya hai
Bhaag nahi sakti toh chal rahi hoon
Sab peeche chodh rahi hoon
Sab kuch kar rahi hun ki rukna na padhe
Baarish mei chaatey ko kos rahi hoon
Jhooti hassi baat rahi hoon
Thehrne se bhaag rahi hoon
Kursi ko dekh rahi hoon
Aur baithne se darr rahi hoon
Yaadein mujhe ussi kursi mei baitha jaati hain
Meri chai mei fir makhi gir jaati hai aur meri subah ek baar firse barbaad ho jaati hai