Sui
Yun hi jazbaaton ki neend se uth kar
sapno ki duniya mei fass kar
meri gadhi band ho gayi
Uski sui kaam ke baad aur sone se pehle kahin atak gayi
Jahan ataki wahan na paise kamane the aur na hi sawaalo ki jawab dhundne the
Bas saas leni thi aur kudrat ko apni aankhen saaup deni thi
fir phone mei alarm baj gaya
Meri neend nahi, mera sapna toot gaya
kaam ke liye der ho gayi
Aur sabzi firse khatam ho gayi
bhooke pet bhaagna padha
fir train choot gayi
Aur bag ki chen rikshe mei atak gayi
kisi tarah ek bus mei ek seat mili
meri ankhen khidki ke bahar jam gayi
andar se dil keh raha tha ki thoda traffic mil jaaye,
Kyunki der toh ho chuki hai,
10 minute pehle ya baad daat padhni toh wohi hai
Toh thoda waqt ye jo mila hai usmei kahin atakne ka mann kara hai
Sui ki tarah waqt mei khone ka dil kiya
Kyunki bus se utarte hi
Daftar mei ghuste hi
Agle din ki band gadhi ki
Ataki hui sui ka intezaar hai