top of page
2-3.jpg

Dil se dimaag

Shaam se andhera ka waqt

Kahi baar ajeeb lagta hai

Kabhi jo jugnoo dikhte the

Ab machar ke darr se chaukhat band hote hain

Kabhi khichad se farak nahi padha

Ab darr lagta hai safed pehne se

Ki kuch daag ateet ki tarah chipak na jaaye

 

Thakk si gayi hun roz kuch dhundte hue

Kal jo sachh tha aaj kuch naya hai

Badalte mausam ke saath badlte logon ke saath khaana khaya hai

 

Ye jo tum rumaani sthirtha chaah rahe ho

Vo ek kamzor vichaar hai

Uski neev toote dil par khadi hai

ek aur kharoch aur puri gir jaaygi

ek aur ghav aur puri mit jaaygi

 

Ab toh tum samajhdaar ho

Ab dekh bhi liya ki duniya kaise chalti hai

Sabka ek hi aashay hai ki

Kaam hi dharam hai

Toh 5 din dusro ke liye jiyo

Aur jo 2 din milenge usmei yaad kar lena ki tum kaun ho

 

Zindagi toh aasaan hai

Tumare dil ko samjhaana

Tumhara hi kaam hai

Ek aur kharoch

Fir vo bhi aasaan hai

 

Jaate hue meri ek hi salah hai

Hamesha dil chuna hai ab dimaag chun kar dekho

Kya pata dil naraz ho jaaye aur pehle ki tarah dhadhak jaaye

Kyunki abhi toh andar sab sunsaan hai

colors inside
bottom of page